Janam deti hain jo,
Mamta ki murat kahte hain jinko.
Tyaag karti hai jo,
Parmatama ki di hui vardan kahte hain jisko.
Loriya sunati ho jo,
Pyaar ka sangam kahte hain jisko.
Haas kar har dukh sahti hai jo,
Vidhata ki pehchan kahte hai jisko.
Aansoo pochhti hai jo,
Jagat jannani kehte hain jisko.
Buraiyo se bachati hai jo,
Khuda ki meher kahte hain jisko.
Niti ke paath padhati hai jo,
Raab ki parchhai kahte hain jisko.
Sabse jayada khayal rakhti hai jo,
Ishu ki kripa kahte hai jisko.
Bachha pahli baar bolta hai jo,
Maa kahte hai usko.
Maai,Mom,Aai,Ammi, kahte hai jisko.